Online paise kaise kamayen

 

Online paise kaise kamayen

Online paise kaise kamayen


Namastey dosto aaj ke is blog post men main aapko online paise kamane ka kuch aasan aur saral tarika batane wala hu jisse ki aap log ghar baithe bina kisi ko ek bhi rupya diye das hazar 10000 se pandrah hazar 15000 rupaye tak kma kar apne khud ke jeb kharche ke sath sath apne ghar kharche me bhi ap help kar sakte hain.

Savdhani Varten:-

Dosto sabse pahle to ek baat jan lijiye ki khali baithe kuch nhi hota karm karne se hota hai shrimad bhagvat geeta men bhi shri Krishna ne kaha hai ki karm karo aur fal ki iccha mat karo bas apne karm par dhyan do kyuki kuch na karna bhi ek karm hai aur bhagwan bholenath kahte hain ki kisi ko kuch bhi karne se rokna nahi chahiye qk insan jo karta hai uska fal wo khud bhogta hai bade budhe kahte hain aur kafi mahan logo ne bhi kaha hai ki

"Jo boyega whi payega tera kiya aage aayega"

"Sukh dukh hai kya fal karmo ka jaisi karni waisi bharni"

Isiliye me kah raha hu ki pahle jo bhi karo soxh samajh kar karo qk bad me to fir pachtana hi rah jata hai aur man ko wash men rakhna seekho isse kya hota hai ki apke andar jo vichar aate hai ab apko nhi pta wo shih ain ya galat lekin unka jo fal hota hai jab wo galat hota hai to apko bht gussa or apne upr glani sharm feel hoti hai jo ki insani jeevan ke liye axha nhi hota aur fir insan man hi man ghut jata h koi kahne sunne ke liye nahi hota uske pas jisse bhi kahta hai wo yahi waps kah deta hai ki jab kiya tha to mere se puchne nahi aaya ab kyu puch raha hai. Ye sab bate sun kar bhi man ko thes lagti hai to bhai jo bhi me btaunga wo sab ek saty ghatna par aadharit batane wala hu to ap is post ko jara gaur se dhayn deke man lga ke samay nikal ke padhna apke bahut kaam ayegi r I’m sure ki jo me bataunga esa yahan kafi logo ke sath ho chukka hai wo jante hai iska parinam to chalo shuru karte hain.

Ek saty ghatna:-

Ek shahr men ek ladka tha jo ki khud men bahut hoshiyar banta tha use lagta tha ki uske alawa pure shahr kya duniya men uske jaisa koi buddhiman h hi nhi lekin uske ghar men aarthik tangi bhut thi to usne dimag lagaya ki ese to kam nhi chalega kux karna padega fir kya ek din khud panoti uske pas chal kar aai wo kahte hai na ki jab insan ka waqt kharab chal rha ho to uunth par baithe aadmi ko bhi kutta kaat jaata hai esa hi kuch hua uske sath to ek company ki trf se ek message aya uske pas or bola ki aap ye esa kar dijiye apko itne rupe mil jayenge to usne soxha (chalak to tha hi or majboor bhi tha) to usne kha chlo krke dekhte hai kaun jane paisa mil hi jaye usne jaisa jaisa samne wali party ne kaha wo wesa wesa karta gya maashallah usko paise mile w oho gya ab deewana usne kha ab to free ka paisa mil rha h chlo krte hai ek din usne wo game khela fir dusre din uske pas message aata h ki bhai ab apko isse aage badhna padega ab aap noob nhi rhe pro ho liye ho to usne bhi ghamand me ake bola ok batao kya karna hai samne wali party boli ki bhai ab thoda investment krna hoga isse apki kamai bhut badh jaayegi ab us ldke ne kaha chlo itna to h apne pas deke dekh lete hain paisa aaya to bhut hi badhiya usne minimum paise invest kiye usko maximum paise wps mile fir uska ho gya dimag khrb ab to usko chahiye or paisa usne jo minimum rakam kamayi thi wo firse lga di ese krte krte uski kahani pahuch gyi ek bde level tak ab use uski okat se jada paise mange gye uske kya kia apne yar dosto se help leli sbne de bhi diye ab usne wo moti rakam lga di fir kya ab samne se demand hui ki ye rakam waps chahiye to ab apko issse bhi jada rakam lagani hogi ab kya uske hosh fakhta ho gye jitne pese uske pas the wo to gye hi sath me jo wo udhar laya wo bhi gya ab wo bhi ek dm nill aur udhari kaise chukaye fir ese krke wo ho gya karzdaar or abhi tk ubhr nhi paya hai koshish me laga hua h dekho koi raah mile.

"Koi rah mile musafir aaage bdhe"

"Ye andhero ne use rok rakha hai"

Kahani ka the end ho gya bhai samjh jao ese kisi bhi jaal me mat fansna bta rha hu bad me mat kahna bataya nhi.

To kahani ka moral aashy h ki short term paisa kamane ke chakkar me kahi esa mat kr dena ki jo savings h use bhi gawa do.

Ha internet par kafi real item websites hai jinse ap real money earn kar skte hai jo ki apko kam denge apko kam krke dena h wo apko paisa denge work ka simple.

Yahan niche main kuch tips or name bta rha hu us trh se ap paisa kama sakte ho.

Online paise kamana aajkal bahut se tarike hain, lekin dhyan rahe ki kuch tarike jaldi rich hone ka vaada karte hain lekin aksar unka asar nahi hota. Online paise kamane ke kuch popular tarike niche de rha hu padhiye.

 

1. Freelancing: 

Agar aap kisi bhi kshetra mein mahir hain jaise ki likhawat, graphic design, web development, programming, digital marketing, to aap online freelancing platforms jaise ki Upwork, Freelancer, Fiverr par kaam karke paise kama sakte hain.

 

2. Blogging: 

Agar aap kisi vishesh kshetra mein jaankari rakhte hain, to aap ek blog shuru karke uspar likhawat karke paise kama sakte hain. Paise kamane ke liye aap Google AdSense ya affiliate marketing ka istemal kar sakte hain.

 

3. YouTube: 

Agar aap video banane mein mahir hain aur kisi vishesh topic par videos bana sakte hain, to aap YouTube par channel shuru karke paise kama sakte hain. Aapko video monetization ke liye YouTube Partner Program join karna hoga.

 

4. Affiliate Marketing: 

Isme aap kisi company ke products ka prachar karke unke bechne par commission kama sakte hain. Aap Amazon, Flipkart, ya kisi bhi dusre affiliate program se jud sakte hain.

 

5. Online Courses: 

Agar aap kisi kshetra mein expert hain, to aap online courses create karke bech sakte hain. Udemy, Coursera, ya Teachable jaise platforms par aap courses sell kar sakte hain.

 

6. Stock Photography: 

Agar aap photography me mahir hain, to aap apni photos ko stock photography websites jaise ki Shutterstock, Adobe Stock par bechkar paise kama sakte hain.

 

7. Online Surveys aur Reviews: 

Kuch websites aapko surveys complete karne ya products ke reviews likhne ke paise deti hain. Lekin dhyan rahe ki isme jyada kamai nahi hoti.

 

8. Content Writing: 

Agar aap achhe likhne wale hain, to aap content writing ke liye online platforms par kaam karke paise kama sakte hain.

 

9. Virtual Assistant: 

Aap kisi bhi vyakti ya company ke liye online virtual assistant ka kaam kar sakte hain, jaise ki emails manage karna, appointments set karna, research karna, etc.

 

10. Online Selling: 

Aap apne khud ke products ko online platforms jaise ki Amazon, eBay, ya apni website ke through bechkar paise kama sakte hain.

 

Dhyan rahe ki online paise kamana aasan nahi hota aur isme mehnat aur samay ki zarurat hoti hai. Aapko scams se bhi bachna important hai, isliye hamesha trusted sources aur platforms ka istemal karein.

Thank you.

Apne bhavishay ke bare men jane click here

Post a Comment

0 Comments